Poet _ Ahmad Faraz
Type By,
*.___SAJJAD___.*
Aye Saqi Suno Faryad Meri,
Kabhi Dunya Thi Aabad Meri,
Main Praim Nagar Ka Baasi Tha,
Aur Pyar Ka Itna Aadi Tha,
Saans Bhi Pyar Se Chalti Thi,
Dharkan Bhi Geet Sunati Thi,
Na Khana Peena Yaar Siwa,
Na Chalna Phirna Yaar Bina,
Jeewan Main Har Soo Rang Hi Rang,
Har Pal Main Jeene Ki Tarang,
Phir Sapna Mera Toot Gaya,
Wo Yaar Bhi Mujh Se Choot Gaya,
Ab Maara Maara Ghoomta Hoon,
Main To Ab Jeene Ka Sahara Dhoondta Hoon.
No comments:
Post a Comment